A letter to the rain


 Rains have always been a very special   part of my life.I danced in rain almost   everytime even if my mother used to scold   me not to get wet.
 After sometime,they now don't ever scold   me because they have understood that in   rain i can't even control myself.
 So just decided to write something for the   love of mine towards rain.
 Here you go,

Dear Baarish,




Pata nahi tum me kya hai,
Tum jab aati ho to,
vapas se baccha banne ka mann karta h.
Har akele insan ko bhi,
Kisi ke sath hone ka mann karta hai.
Tum logo ko apna bana leti ho,
Apni is mehak me sab ke gam daba leti ho.
Koi tumhare bundon ke peeche ro leta hai,
To koi tumhari vajah se khul kar has leta hai.
Tumhare sath chai peene ka maja hi kuch aur hota hai,
Jab tumhari bunde bat karti hai,
 to unse apni kashmakash keh dene ka alag hi sukoon hota h.
Tum par anek kavitay,anek geet or anek gazale likhi gayi hai,
Lekin tumhe in sab me koi samet nahi sakta hai.
Tum kisano ke liye kushi lati ho,
Hamari mitti ki khoi hui si mehak ka hame vapas se ehsas dilati ho.
Bhale khichad ke vajah se log kabhi tumhe kuch keh dete ho,
Lekin fir bhi tum sabko hi pasand hoti ho.
Tum mere andar ka chupa rustom bahar laati ho,
Apne sath mera bachpan bhi vapas laati ho.
Aaj bhi mujhe tumhari bundo ke neeche baithne se koi rok nahi sakta,
Tum aao aur ham na naache aisa kabhi ho nahi sakta.
Aaeeee baarish,
tum hamesa aise hi aana.
Lekin kabhi agar lage ki koi jahan tumhare vajah se kharab ho raha hai to tham bhi jana.
Tum ham sab ka dard samet leti ho,
Ham sab ki khusiyan hame vapas bhi de deti ho.
Tum jane ke bad jo mausam chor jaati ho,
Ye dikhata hai ki jaane anjaane tum bhi hame bhut chahti ho.

THIS IS PERFECT-RAIN AND ME.
(The perfect combination)


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

เคนเคฎ เคฌเฅœे เคนो เคฐเคนें เคนै.

RIng