Jaruri Cheez❤️
Sab kehte hai,
Ki is bar jo mai gyi thi chuttiyon pr
Peeche kuch chor aayi hun.
Kya ye dil jo chori ho jata hai,
To sb ko dikhta h?
Kya ye pyaar itna dhundla ni hota
Jitna lagta hai?
Maana ki ye aag ka dariya h,
Par kya iske jalne ka ghaav chupane ke bad bhi sab ko dikhta hai?
Chalo choro ab mai ky kahun inse ki kya chor aayi hun
Jab tum hi se nahi keh paayi hu.
Ki tumhare kamre me kahi kone par
Mera chota sa dil pada hoga,
Jis din saaf safayi karoge shayad mil jay!
Or ha agar mil jay to sambhal ke rakh lena
Ya fir agr na ho rakhne ka mann apne pass
To vapas mjhe bhej dena.
Vo kya hai na,
Ye sab keh rhe h ki in chuttiyon me mai kuch peeche chor aayi hun.
Koi zaruri nahi hai rakhne ki,
Mujhe pta hai tumhe bekar ki cheeze phek dete ho,
Lekin agar rakh loge thode din apne pass,
To kya pata isi bahane tumse dubara milna ho jay.
Vo kya hai ye sab bol rahe hai ki kuch bhut zaruri mai bhil aayi hun,
In chuttiyon par.
Ab inhe kaun btay ,
Ki samaan to pack krliya tha sara
Or poori koshis thi ki peeche kuch na chute,
Lekin jab ghr aayi to pta chla ki sabse jruri cheez to choot hi gyi hai.
Ab mangu bhi kaise,
Nahi nahi sharam ni aati mangne me
Sharam kaise
Tum to apne ho na!
Ho na?
Lekin samjhaungi kaise tumhe ki itni zruri cheez chor kaise di maine,
Chalo agr samajh bhi gye,
To kya sambhal kar rkhoge use?
Apne sth
Jindgi bhar
Ya fir is bar diwali ki safai me bache hue raddi ke sth
Thand me ise bhi jala doge taki sard kam lage.?
❤️🤞
Comments
Post a Comment